Unse milna kya bas ik ittifak tha,
Ya kisi arzi ki marzi ka dastoor,
Kya kehne the unki adao ka,
Ki milna tha unse zaroor,
Kuch nigahon ka kasoor tha unki,
Kuch dhadkano ka mridanga,
Kuch mohabbat ki baato ka ishara tha,
Jo chaha wo mil gaya rang
Unse milna kya bas ik ittifak tha,
Ya kisi arzi ki marzi ka dastoor,
Kya kehne the unki adao ka,
Ki milna tha unse zaroor,
Kuch nigahon ka kasoor tha unki,
Kuch dhadkano ka mridanga,
Kuch mohabbat ki baato ka ishara tha,
Jo chaha wo mil gaya rang
Kisi din lehro ke ghunghat se pucha,
Bata to de ye din hai raat hai,
Usne muh ghumaya aur piche se bola,
Ye to kuch nahi taaro ki baarat hai,
Suraj ki uthte hi ghum jaati thi lehre,
Jab chadhe suraj to lehrati thi lehre,
Ye sagar ka dariya hai asmaa tale,
Sham hui to naraz ho jati thi lehre,
Kisi ne pucha chandani raat me,
Sagar tu neela ya ye gagan neela,
Usne muskurakar bola aisa kuch nahi,
Dekhne wale ki nazar ka nazrana hai,
Aaj tu yeha hai kal tera kya thikana hai,
Tu kal taara banke jab tim timaega,
Ye sagar tujhe apne ander samaega,
Chand ki hasi ki tareef sab karte hain,
Me wo hu jo chand ko aina dikhaega,
Sagar ki in baaton se uski aankhe bhar aayi,
Lehro ke ghumghat se ek boond tapak aayi,
Jo suraj ki tap se badal banta hai,
Boond boond se sagar banta
Kabhi ruthe the unse hum, kabhi unko mana baithe,
Sahi kehte the unko hum nigaho me sama baithe,
Wo nigaho ka hi itarana hmare Mann me baitha tha,
Mile na tum Jo hmse ansuon ka Sur bana baithe...
Kabhi beheka sama tha kabhi behki thi zindagi
Hum to wahi hi hain bas mehki si hai zindagi
Musqil bada hai jeena hai yeha pe hamko
Yeh dard-e-dil ki guzarish gai zindagi !
Kabhi dekhe nigahe to zamana ruth jata hai,
Jo vo samjhe hansi apni to sab kuch chhoth jata hai,
Ye taaro ki numaish me sabhi akash hote hai ,
Jo vo chamke waha pe har fasana loot jata hai !