Zindagi

Author: Vibhor Dixit /

Yeh Zindagi sawal thi Jawab mangane lage,
Farishte aake khwab me hisab mangne lage |
Mein jugnuo ko muh lagake mushqilo me pada
Ye bewakuf mujhse Aftab mangane lage ||
Idhar kiya karam kisipe aur idhar jata diya
Namaz padhke aaye aur sharab mangane lage |
Sukhanwaro ne khud bana diya sukhan ko ek majak
Jara si daat kya mili khitaab mangane lage ||

Yaadein

Author: Vibhor Dixit /

Kabhi ruthe the unse hum, kabhi unko mana baithe,
Sahi kehte the unko hum nigaho me sama baithe,
Wo nigaho ka hi itarana hmare Mann me baitha tha,
Mile na tum Jo hmse ansuon ka Sur bana baithe...